Wednesday, March 30, 2011

~Taare~


I was having a solemn yet rosy mood on 15th december 2010, when i penned down this poem. My second hindi poem is before you readers for perusal. :)-
 kayi taare pahunch k bahar hote hain..

jaise ankho mein sapne hazar hote hain.

na pahunch saken bhala hum un tak..
maza lia ja sakta hai sath ka ek hadd tak.

khade ho hum raat k asman k niche..
bahen failaye aur ankho ko meenche.

jo roshni ati hai hum tak hazaro sal par kar k..
usko mehsus karen gehre tak se,

hum na pahunch payen waha beshaq
wo ayi hai humse milne yahan tak.

is soch ko ehsas me badal kar khush ho le
ise he sach man kar un palo ko jee le,

shyad yahi toh khushi hai yahi to sukun hai..
jo nahi milta wahin dekhte rehna he humari kami hai. :)